Kaffara Lyrics
Jab rang jaagte hai
Tasveer jaagti hai
Jab dil mai ho mohabbat
Taqdeer jaagti hai
Tootega jab irada
Manzil kahan milegi
Yeh zindagi humari
Na meherbaan milegi
Tinka tinka tinka joray jaye
Jab dil na mile kya kar paye
Tinka tinka tinka joray jaye
Jab dil na mile kya kar paye
Jis tarah se aandhi koi shamma ko bhujati hai
Bewafa sahara ho tou saans toot jaati hai
Toot’tay iraade ho tou bebasi rulati hai
Ho agar farebi dunya chein kam hi paati hai
Hum saath bhi rahe tou begaangi rahegi
Yunh zindagi humari kya zindagi rahegi
Tootega jab irada
Manzil kahan milegi
Yeh zindagi humari
Na meherbaan milegi
Tinka tinka tinka joray jaye
Jab dil na mile kya kar paye
Tinka tinka tinka joray jaye
Jab dil na mile kya kar paye
Waqt jo akele beeta usko naam kya doge
Thi amar humari yaade kya unhe bhula doge
Bewaja karoge shikwa dil ko phir dukha doge
Rehne do purani baatey baat ko barha doge
Hum aisi hi rahe hai jeena saza ho jaise
Dil toot ke gira hai sheesha gira ho jaise
Tootega jab irada
Manzil kahan milegi
Yeh zindagi humari
Na meherbaan milegi
Tinka tinka tinka joray jaye
Jab dil na mile kya kar paye
Tinka tinka tinka joray jaye
Jab dil na mile kya kar paye