Khuda na Khasta Lyrics - Arijit Singh
Khuda na Khasta Lyrics - Arijit Singh

Khuda na Khasta Lyrics – Arijit Singh

Khuda na Khasta Lyrics

 Tukdon ki ye tasveer hai

Tukdon mein bhi lekin

Haseen tehreer hai

Kehne ko yoon keh leejiye

Tewar bhari zevarnuma ye zanjeer hai

Ye zindagi jua hai

Kisko yakeen hua hai

Baziyan namunaasib

Kahin pad jaaye na

Iktarfa safar ke

Lab pe yehi dua hai

Kahin nagawaara mod

Koi mud jaaye na

Khuda na khasta

Khuda na khasta

Kudaya khair kar

Khuda na khasta

Ik haath mein saugaat hai

Aur doosre mein ranjishein hain

Jazbaat hain

Na jaane kyun is ke liye..

Kohraam mein kuchh

Itminaan si baat hai..

Ye zindagi dhuaan hai

Kis ne ise chhua hai

Titliyon ki tarah shokh hai

Ud jaaye na

Ektarfa safar ke

Lab pe yehi dua hai

Kahin naagavaara mod

Koi mud jaaye na

Khuda na khasta

Khuda na khasta

Kudaya khair kar

Khuda na khasta

O jeene ko jo

Aashiyana biyabaan hai

O palta usi

Aashiyaane mein toofan hai

Saaiyaan.. Saaiyaan..

Kitni silvatein maazi mein padin

Jeene ki vajah unse thi badi

O zaaya baat kyun

Shikvon mein karein

Adhoori hasratein

Dar pe hain khadi

O ye zindagi nasha hai

Takleef mein maza hai

Iski fitrat mein hi jung hai

Chhid jaaye na

Ik tarfa safar ke

Lab pe yehi dua hai

Kahin naagawaara mod

Koi mud jaaye na

Khuda na khasta

Khuda na khasta

Kudaya khair kar

Khuda na khasta

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

    Leave a Reply

    Your email address will not be published. Required fields are marked *